Apr 2, 2009

Koi Deewana Kahta Hai..by Dr. Kumar Vishwaas


Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai,
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai,
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai,
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

mohobbat ek ehsason ki paawan si kahaani hai,
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai,
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai,
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe to paani hai

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya,
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya,
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa,
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai,

Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai,

yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin,
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain,
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain,
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

~ Dr. Kumar Vishwas


No comments:

Post a Comment